Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Bhool jate hai hame yaad karta hai kon,zakhm dete hai sab marham rakhta hai kon,hum har pal marte hai aapki judai me, humare aansuo ki kadar karta hai kon.
Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…