Ek Din Baharon Ke Phool Murjhayenge.. Bhoole Se Kabhi Hum Tumhe Yaad Aayenge Ehsaas Hoga Bhoole Se Tumhe Meri Chahat Ka Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge...
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..