Husn wale khub wafaon ka sila dete hain, Har mod par ek jakhm naya dete hain, Dost” is jahan mein koi apna nahi, Jab aag lagti hai to patte bhi hawa dete hain
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
dil jeet le wo jigar hum bhi rakhte hai qatl kar de wo nazar hum bhi rakhte hai wada kiya hai kisi se sada muskuraane ka warna in aankhon me samandr hum bhi rakhte hai
pal aisa tha k hum inkar na kar paye zaamane k daar se ikrar na kar paye na thi jin k bina zindagi munasib chor deya unhone or hum sawaal na kar paye........