Roye ho bahut tab zara karar mila hai, Is jahan mein kisey sacha pyar mila hai, Guzaar rahi hai zindagi imtehan ke daur se ek khattam hoa toh doosra taiyaar mila hai .....
Bhari Mehfil Mein Tanha Mujhe Rehna Sikha Diya, Tere Pyaar Ne Duniya Ko Jhoota Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hota Ab To, Sab Kuch Zindagi Mein Chup-Chap Sehna Sikha Diya.
tumein hum yaad rakhtay hain,Tumhari yaad se dil ka nagar abaad raktay hain,Har lamha,har waqt tumhe saath raktay hain,suhani raat huti hai tumhari baat hoti hai,aur is se abaad ralktay hain
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..