Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Tamanna To Jahan Ki Karte Hain Hum, Par Har Dil Jisse Apna Maane Woh Hamara Nahi Hota, Dariya-E-Mohabbat Mein Tufan Bhi Hain Bhawar Bhi Hain, Par Har Kashti Ki Kismat Main Kinara Nahi Hota.
Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Ek Larki Mujhe Gham Or Aansoo De Gayi Jab Khuch De Na Saki To Ruswayi De Gayi Meri Zindagi Se Jate Huye Nishani Ke Tor Per Kitni Mahabbat Se Mujhe Tanhayi De Gayi
her pal gamo ki yaad me jalti hai zindgi. bas mom ki tarah pighalti hai zindgi. kya raaz hai ye isqh hua hai jab se, barbadiyo ki raah pe bas chalti hai zindgi.
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.