Wo tere pyar ka gam ek bahaana tha sanam Apni taqdeer hi aisi thi ki dil toot gayaYe gam na hota toh koi aur gam hota Mai woh bdnaseeb hu jo har haal mein rota
Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
hum jis ke wajood mein khud ko talaashte hain... woh auron ki baahon ko apnaa pyaar maante hain... hum jis ka saaya ban kar saath chalnaa chahte hain.. woh humaare ehsaas ko bhi thokar maarte hain...
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.