Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb hai
Ek din zindgi aise mukam pe pahunch jayegi,, Dosti to sirf yaadon me reh jayegi.. Har cup chai yaad tumhari dilayegi,, aur haste haste fir aankhein nam ho jagegi
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko...Chedega mehfil me zikar hamara koi,To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.
BAHAAR AA BHI JAYE TO KYA HO JAYEGA HAM AKELE HONGE AUR DIL BHI AKELA HOGA, KASH KI TUM AATE BAHAAR KE SATH TUM SE KAHTE VO SARE DUKH JO TUMHAARE BIN GUJARE HAIN.