Kitne Badal Gaye Hai Woh Halat Ki Tarah..Khamosh Baithe Hai Guzre Lamhat Ki Tarah..Hum Kya Un K Husn Ka Sadka Utar De..Hume Pyar Bhi Mila To Khairat Ki Tarah..
Is dil ki gali mei sada ker k to dekho,yeh rasm-e-faqiri ha ada ker k to dekhoreh jayegi tumhari her ik baat adhuri,tum khudko kabhi mujhse juda ker k to dekho.
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.
Barbad kar geya wo zindagi pyar k nam se bewafai mili sirf wafa k nam se zakhm he zakhm diay usne dawa k nam se khud bi ro para wo meri mohabat ke anjam se
Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb hai
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Hakikat na puch mere fasane ki,tere jate hi badal gayi nazar zamane ki. Log puchte hai mai khush kyun nahi,kya kahu meri toh adat thi tere sang muskurane ki.