Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
badal ki tarah jhum k lehra k piyenge saaki tere maikhaane me hum ga k piyenge dekhenge k aata hai kidhar se ghum e duniya saaki tujhe hum saamne bithla k piyenge