Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Kisi ki yadoon mein khona achha nahi lagta humein kisi ke liye tanha jeena achha nahi lagta humein hum to kaat chuke hain bohut phele tanha zindagi ab phir se kisi ke liye marna achha nahi lagta humein
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo