ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau, suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau, yun to chaand ki tareef karna aasan hai, par kar sake to aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
Dilo ki Daastan UNHE kahan Kabool thi, Meri Wafayen UNKE liye Fizool thi, Koi Aas nahi lekin Itna to bta Do, Maine Chaha AAPKO,Kya bas Yehi Meri Bhool thi.
Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aay
main akela kaha tera wajood ka saya sath hai.jawan raat mein chand chandni ke sath hai.Duriya kaha dur kar pati hai hume. sapno mein hi sahi tere hathon mein haath hai.
dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete
Mene pucha khuda se,tune dunia ko pyar ka dushman kyo bana dia?khuda hasa or bola,tune kaunsa mere sath acha kia,tune b to apne pyar ko khuda Bana diya