Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga, Jaise amavas ne har raat chand maanga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.