Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati
Yaad karne ke liye koi cheez chahiye, Aap nahi to aapki taswir chahiye, per taswir aapki hamara dil behla nahi sakti, kyonki yeh aapki tarah muskura nahi sakti.
Dil se tera khayal na jaye to kya karu? tu hi bata teri yaad aaye to kya karu? hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu kismat woh lamha na laye to kya karu?
Dekho aawaz dekar, paas hamme paoge, aaoge tanha par tanha na jaoge, dur rahkar bhi tumhi par hai nazar meri, hathon se tham lenge jab bhi thokar khaoge