Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aay