Gamo ko zindagi ka nam buzdilo ne diya hai,Humne to gamo ka samna khusi se kiya hai,Marte waqt b in hoto se hasi na jayegi,Ye vada humne zindgi se kiya hai.
Ham Na mile Aapse to fariyaade Milegi. Ham jo mile Aapse to Yaade Milegi. Maut khamos kar Degi zuba ko Magar, Aapko kadam kadam Pe Hamari Aawaaze Milegi..
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah Har ek roop main tera intezaar karte hain Na tum samet sakogi jise qayamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
EK Din usse bat n hui to dil udas ho gya.Kuch hi pal me wo itna khas ho gaya.Ab tak pata nhi thi dil ki tanhai,Lekin uski judai se uski ehmiyat ka ehsas ho gya