Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi, Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi. Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main, Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.
In aankhonme aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.
Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya, bijliyan chamak uthi sara badan jala diya. Jeete je na poocha haale dil kabi, ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?
dekar humein tadpane ki saza, unko aa raha hain maza. Hum to unki khatir marr mitne ko taiyaar hain... bus ek baar woh keh de ki tu mera yaar hain.......