Bahar hoti to titliya jarur aati,Nami aakho me ho to siskiya jarur aati,Kahne ko log kahte hai ke khub yaad aate hai,Magar yaad karte to hichkiya jarur aati.
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Jaan chali jayegi hamari itna pyar na kariye,Pyaar me bechain hame mere yaar na kariye,Kasam hai aapko na rulaiye hame apni yaad me,Apni betabi ka izhaar baar baar na kariye.