Kyon kisi se itna pyar ho jata hai, pal bhar ka intezar bhi dushwar ho jata hai, lagne lagte hai apne bhi paraye, aur ek ajnabi pe aitebaar ho jata hai.
Sitaro ko gin kar dikhana mushkil he,Kismat me jo likha ho use mitana mushkil he,Humri apko zarurat ho ya na ho par ehmiyat apki lafzo me jatana mushkil hai
Kabhi Hum pe WO jaan diya karte the,Jo Hum kehte the wo maan liya karte the,Aaj pass se anjaan ban kar guzar gaye,Jo durse HUME pehchan liya karte the..
Apni taqdir mai hum mohabbat mangna bhul gaye, dil to mangna par didar mangna bhul gaye, hum to dil kisiko de aaye, par badle mai dil mangna bhul gaye.
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai.pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye, Mat ker logon mei itna zikr mera, kahin mera zikr, tujhe chedne ka bahana na ban jaye.