Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Choti-choti baton se takrar na kiya karo,Hamare har mazak ko dil pe na liya karo,Kya pata sath hai aur kitne din ka,Tab tak to pyar mere yar rakha karo
Wo na Aye unki yad akar wafa karGai Unse milne ki tamanna Sukun tabah karGai Ahat hui socha asar Dua kar Gai Darvaja khola to dekha mazak Humse hawa kar gayi
Bhul jana usay jo bhula jaye, Yaad karna usay jo nibha paye, Wade to bahut log karege, Magar dil ki baat usay zarur kehna jis ke bin ek pal bhi jiya na jaye..
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Jindgi itni jiyo jiski koi had na ho.Bharosa itna karo ki koi shaq na ho.Intzar itna karo ki koi waqt na ho.Aur pyar itna karo ki na mile to nafrat na ho.