Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai kaano me gunjti sehnai si lagti hai aap karib hain to aapnapan hai, warna seene me saans bhi parai si lagti hai
Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.
mita denge yeh duri, yeh fasle sabhi! kahogi ek baar ki milo aa ke kabhi! na honge door phir tum se is zindagi main! khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
Kitna Saroor Rat Ki Tanhayioun M Tha Chup Tha Ke Jese Chand Bhi Ruswaiyoun M Tha Sab Ja Rhe The Apne khudaon ko PoojneTab mein Tere Khyal Ki Gehraion Mein tha