Jivan guzarne ka bahana dhundte hain,Khatam na ho kbhi woh paimana dhundte hain,hosh me to tadpenge raat-din,jo hosh na ane de woh maikhana dhundte hai.
Kadam kadam pe hawa ka dhyan rakhna, mushkil waqt mein dosti ko yaad rakhna, humari yadooon ki khushbooo zarooor aayegi, tum bas apni naak saaf rakhna......
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai, Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai, Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi, Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.
Khuda dil ke iraade aazmata hai ,sapno ke parde aankho se hatata hai,Hausla mat haarna pyar me musafir,kyonki thoda dard hi insaan ko pyar karna sikhata he