Chaand Maddham Hai Aasmaan from Railway Platform Movie (Madan Mohan Kohli)

Chaand maddham hai aasmaan chup hai
Neend ki god mein jahaan chup hai
Chaand maddham hai aasmaan chup hai

Door vaadi mein doodhiyaa baadal
Jhuk ke parbat ko pyaar karte hain
Dil mein naakaam hasraten lekar
Ham teraa intazaar karte hain
Chaand maddham hai aasmaan chup hai

In bahaaron ke saaye mein aajaa
In bahaaron ke saaye mein aajaa
Phir mohabbat javaan rahe na rahe
Zindagi tere naamuraadon par
Kal talak meharbaan rahe na rahe
Chaand maddham hai aasmaan chup hai

Roz ki tarah aaj bhi taare
Subah ki gard mein na kho jaayen
Aa tere gham mein jaagti aankhen
Kam se kam ek raat so jaayen
Chaand maddham hai aasmaan chup hai...

Song Details
Movie
Railway Platform
Artist
Madan Mohan Kohli
Music Directory
Madan Mohan Kohli
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Sahir Ludhianvi

Other Lyrics from Railway Platform

Andher Nagari Chaupat Raja
Basti Basti Parbat Parbat Gaata
Chaand Maddham Hai Aasmaan
Dekh Tere Bhagwaan Ki Haalat
Jiya Kho Gaya O Tera Ho Gaya

Other popular Lyrics by Madan Mohan Kohli

Chal Chal Chal Mere Dil (AKeli mat jaiyo)
Thoda Sa Aitbaar Kijiye (Chowkidar)
Raste Mein Do Anjane (AKeli mat jaiyo)
Yeh To Kaho Kaun Ho Tum (AKeli mat jaiyo)
Dulhan Marwad Ki Aaaee Chham Chham (Anpadh)
Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo (Anpadh)
Raggi Pappi Lalli (Jailor)
Ishq Ki Garmi E Jazbaat (Gazal)
Thodi Der Ke Liye Mere Ho Jao (AKeli mat jaiyo)
Akeli Mat Jaiyo (AKeli mat jaiyo)