Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
Unke cahre par iss kadar noor hai, Unki yaad main rona bhi manzoor hai, Bewafa bhi kahe nahi sakte hum unhe, Pyar to humne kiya tha woh to bekasoor hai.
Jab bhi tanhayi se ghabra k simat jate hai hum teri yaadon k daman se lipat jate hai zuban se keh nahi sakte hum tumhe kitna pyar karte hai nikal padte hai aansu jab tumhe yaad karte hai!.