Suhana mosam tha or hawa me nami thi,Ansu ki behti nadi abhi-abi thami thi,Milna to hum bi chahte the par,Unke pas waqt or humare pas sanso ki kami thi !
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Mujhe aajmane ka natija kya nikla, dil ka jakhm najro se bhi ghara nikla, Tod kar dekh hi liya tune dil mera, Bata teri tasver ke siva is dil me kya nikla.