Karoge fir yaad guzre zamane ko, Tarsoge hamare saath ek pal bitane ko, Phir aawaaz doge hume aane ko, Hum kahenge darwaaza nahi hai kabar se bahar aane ko!
Macchar ne jo kata... dil main mere junoon tha. Khujli hui itni... dil be sukoon tha. Pakada to chod diya yeh soch kar ki.... sale ki ragon main apna hi khoon tha !
Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge, Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge, Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena, Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge.
Log puchte hai ki cigarate kyun pite ho, kya ye pyass bujhati hai? Maine kaha "nahi, dil me kisi ki tasvir hai,kambhakt kam se kam usko to jalati hai".
Jise dil diya woh dilli chali gayi, jise pyar kiya woh italy chali gayi; dil ne kaha khud-kushi(suicide) kar le jalim, bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi
Phoolon ko phool pasand hai, dilon ko dil pasand hai. Shayar ko shayeri pasand hai. Kisiki pasand se hame kya, hamko to bas apki girl friend pasand hai