Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…
Har khushi mere pehlu me hai fir ye kami kaisi har su jashn ki kaifiyat fir is kone me ghami kaisi is phalte foolte ped me ye kaisi dali murjhaii hai shayad mujhe aaj fir kisi bewafa ki yaad aai hai
Gum bahut hai khushiya kam hai,kante bahut hai ful kam hai; manzil dur hai rah kathin hai, dushman bahot hai dost kam hai ,mere zindagi ka ye behal hai, fir bhi jee raha hu kyo ki sath tumhara hai
Tohfa kya aaj tumhe mai yaar du, Bachhi chandd khushiya bhi tumhe apni vaar du, maangi thi jo uss khuda se tumhare liye, un sabhi duaon ka tujhe main uphaar du…
Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho... Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho... Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho... Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho...!!!