Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo from Anpadh Movie (Madan Mohan Kohli)

Hai is hi men pyaar ki aabaroo
Vo jafa karen main vafa karun
Jo vafaa bhi kaam na aa sake
To vohi kahen ke main kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

Mujhe gham bhi un ka aziz hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Mujhe gham bhi un ka aziz hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Yahi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

Jo na ban sake main vo baat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Jo na ban sake main vo baat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Ye likha hai mere naseeb men
Yunhi shamma ban ke jala karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

Na kisi ke dil ki hun aarazu
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Na kisi ke dil ki hun aarazu
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Main vo phool hun jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo
Vo jafa karen main vafa karun
Jo vafaa bhi kaam na aa sake
To vohi kahen ke main kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo..

Song Details
Movie
Anpadh
Artist
Madan Mohan Kohli
Music Directory
Madan Mohan Kohli
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Raja Mehdi Ali Khan

Other Lyrics from Anpadh

Aap Ki Nazro Ne Samjha
Dulhan Marwad Ki Aaaee Chham Chham
Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo
Jiya Le Gayo Jee Mora Saanwariya
Rang Birangi Raakhi Leke
Sikandar Ne Poras Se Ki Thi Ladai
Vo Dekho Jalaa Ghar Kisi Kaa

Other popular Lyrics by Madan Mohan Kohli

Chal Chal Chal Mere Dil (AKeli mat jaiyo)
Thoda Sa Aitbaar Kijiye (Chowkidar)
Raste Mein Do Anjane (AKeli mat jaiyo)
Yeh To Kaho Kaun Ho Tum (AKeli mat jaiyo)
Dulhan Marwad Ki Aaaee Chham Chham (Anpadh)
Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo (Anpadh)
Raggi Pappi Lalli (Jailor)
Ishq Ki Garmi E Jazbaat (Gazal)
Thodi Der Ke Liye Mere Ho Jao (AKeli mat jaiyo)
Akeli Mat Jaiyo (AKeli mat jaiyo)