De Di Hamein Aazaad from Jagriti Movie (Hemanta Kumar Mukhopadhyay)

De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Aandhi me bhi jalti rahi gandhi teri mashaal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

Dharati pe ladi tune ajab dhab ki ladaai
Daagi na kahi top na banduk chalaai
Dushman ke kile par bhi na ki tune chadhaai
Vaah re fakir khub karamat dikhaai
Chutaki me dushmano ko diya desh se nikaal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Raghupati raghav raja ram

Shatranj bichha kar yahan baitha tha zamana
Lagta tha mushkil hai firangi ko harana
Takkar thi bade zor ki dushman bhi tha tana
Par tu bhi tha bapu bada ustaad purana
Mara vo kas ke daav ke ulti sabhi ki chal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Raghupati raghav raja ram

Jab jab tera bigul baja javan chal pade
Mazadur chal pade the aur kisaan chal pade
Hindu vo musalman, sikh pathan chal pade
Kadamo pe tere koti koti pran chal pade
Phulo ki sej chod ke daude jawahar lal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Raghupati raghav raja ram

Man me thi ahinsaa ki lagan tan pe langoti
Lakho me ghumtaa tha liye satay ki soti
Vaise to dekhane me thi hasti teri chhoti
Lekin tujhe jhukati thi himalay ki bhi choti
Duniya me tu bejod tha insaan bemisaal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Raghupati raghav raja ram

Jag me koi jiya hai to bapu tu hi jiya
Tune vatan ki raah pe sab kuch luta diya
Maanga na koi takht na to taj hi liya
Amrit diya sabhi ko magar khud zehar piya
Jis din teri chita jali, roya tha mahakaal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
De di hame aazadi bina khadag bina dhal
Sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
Raghupati raghav raja ram...

Song Details
Movie
Jagriti
Artist
Hemanta Kumar Mukhopadhyay
Music Directory
Hemanta Kumar Mukhopadhyay
Music Label
Ultra
Singers
Asha Bhosle
Lyricist
Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)

Other Lyrics from Jagriti

Aao Bachchon Tumhen Dikhaayen
Chalo Chalen Maan
De Di Hamein Aazaad
Ham Laaye Hain Toofan Se

Other popular Lyrics by Hemanta Kumar Mukhopadhyay

Rehne Ko Ghar Do (Biwi Aur Makan)
De Di Hamein Aazaad (Jagriti)
Zara Nazron Se Keh Do (Bees Saal Baad)
Jab Dosti Hoti Hai (Biwi Aur Makan)
Rangeeli Rangeeli (Ferry)
Na Ro Ae Ronewale (Ferry)
Tan Dole Mera Man Dole (Nagin)
Kaise Rokenge Aise Toofan Ko (Anand Math)
Aa Re Bhanvare Aa (Anand Math)
Kuchh Dil Ne Kaha Kuchh Bhi Nahi (Anupama)