Ye Kali Jab Talak Phool Ban Ke Khile By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Ye kali jab talak phool ban ke khile
Intazaar, intazaar, intazaar karo, intazaar karo
Ye kali jab talak phool ban ke khile
Intazaar, intazaar, intazaar karo, intazaar karo
Intazaar woh bhala kya kare, tum jise
Beqaraar, beqaraar, beqaraar karo
Intazaar karo

Pyaar mein pyaar ki bhi ijaazat nahin
Pyaar mein pyaar ki bhi ijaazat nahin
Berukhi hai aji ye mohabbat nahin
Aa raha hai maza, tum shikaayat yahi
Baar baar, baar baar, baar baar karo
Intazaar karo
Intazaar woh bhala kya kare, tum jise
Beqaraar, beqaraar, beqaraar karo
Beqaraar karo

Husn pe to asar hone waala nahin
Husn pe to asar hone waala nahin
Ishq tum ko na kar dein diwaana kahin
Hai ye diwaangi bhi qubool, tum agar
Hamse pyaar, hamse pyaar, hamse pyaar karo
Ye kali jab talak phool ban ke khile
Intazaar, intazaar, intazaar karo,
Intazaar karo

Roz hamne baiyaan ye fasaana kiya
Roz hamne baiyaan ye fasaana kiya
Roz tumne naya ek bahaana kiya
Ye bahaana magar, aakhri hai sanam
Aitbaar, aitbaar, aitbaar karo,
Intazaar karo
Intazaar woh bhala kya kare, tum jise
Beqaraar, beqaraar, beqaraar karo
Beqaraar karo
Intazaar, intazaar, intazaar karo,
Intazaar karo
Hamse pyaar, hamse pyaar, hamse pyaar karo
Intazaar karo..

Song Details
Movie
Aaye Din Bahar Ke
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Aaye Din Bahar Ke

Aye Kaash Kisi Diwane Ko
Khat Likh De
Mera Mehboob Hai Bemisaal
Mere Dushman Tu Meri Dosti Ko Tarse
Phulon Se Mukhade Vaali
Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Pukarke
Ye Kali Jab Talak Phool Ban Ke Khile