Koi Maane Ya Na Maane By Rahul Dev Burman

Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye

Abb toh hamko ek hee sapna pura karna hai
Janam janam kaa pyaar tumhari mang me bharna hai
Jis din se tumko jana, hamne kismat ko mana
Tumhara hee hona tha, tumhare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye

Aise naa dekho hans kar, hamko kuchh ho jata hai
Tan par kabu rakhte hain toh mann kho jata hai
Dil khokar dil milta hai, ab hamse kya parda hai
Jab ankho hee ankho me ishare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye

Ankho me dore galo pe lali, hontho pe phul khile
Jitna bhi dekhu dil nahee bharta, tum hume khub mile
Yeh kali kali julfen, yeh gori gori bahen
Kitne sare jine ke sahare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
Koyi mane ya naa mane, jo kal tak the anjane
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
Woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye..

Song Details
Movie
Adhikar
Artist
Rahul Dev Burman
Music Directory
Rahul Dev Burman
Music Label
Saregama
Singers
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar

more lyrics from Adhikar

Aisi Chiz Sunaye Kee
Koi Maane Ya Na Maane
Rekha O Rekha