Kya Raat Suhaani Hai By Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder)

Kya raat suhaani hai, kya raat suhaani hai
Aaj zamaane ki har shai pe javaani hai
Anamol nishaani hai, anamol nishaani hai
Tu meri ulfat ke kwaabon ki javaani hai

Kuchh kah do nigaahon mein, kuchh kah do nigaahon mein
Aaj simat aao tarasi huyi baahon mein
Kuchh kah do nigaahon mein

Hasarat hai nigaahon mein, hasarat hai nigaahon mein
Door kahin chal dun chhup kar teri baahon mein
Taqadir sambhal jaaye, taqadir sambhal jaaye
Gar mere sine par ye zulf machal jaaye

Ye raat na dhal jaaye, ye raat na dhal jaaye
Subah ke taare ki niyat na badal jaaye
Kya raat suhaani hai, kya raat suhaani hai
Aaj zamaane ki har shai pe javaani hai
Kya raat suhaani hai.....

Song Details
Movie
Alif Laila
Artist
Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder)
Music Directory
Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder)
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Alif Laila

Aanaa Hi Padegaa
Bahaar Aai Khili Kaliyaan
Dilo Ke Shikar
Kya Raat Suhaani Hai
Mere Naghmo Me
Raate Pyar Ki Beet Jayengi
Tujhko Bhulana Mere Bas Me Nahi
Umidvar Dekh To Le