Poochhungi Ek Din By Chitragupta Shrivastava

Poochhungi ek din pichhle pahar mein
Soye hue chand taro se
Mohe batao kyu khafa ho
Nindiya bhi kismat ke mari se

Kab tak gujare ro ro ke din yu
Aankho hi aankho mein rate
Kab tak gujare ro ro ke din yu
Aankho hi aankho mein rate
Tum bhi sirato so jate ho phir
Kisse kare ji ki bate
Rakhu naa ji main keh bhi do tumko
Shikwa hai kyaa dil haari se

Poochhungi ek din pichhle pahar mein
Soye hue chand taro se
Mohe batao kyu khafa ho
Nindiya bhi kismat ke mari se

Itana bata do kab rang layengi
Najloom ki be jubani
Itana bata do kab rang layengi
Najloom ki be jubani
Likhte rahenge kab tak hamari
Ashko se apni kahani
Badlega kis din mausam khuda ka
Khelenge hum sab baharo se

Poochhungi ek din pichhle pahar mein
Soye hue chand taro se
Mohe batao kyu khafa ho
Nindiya bhi kismat ke mari se..

Song Details
Movie
Barkha
Artist
Chitragupta Shrivastava
Music Directory
Chitragupta Shrivastava
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Rajendra Krishan

more lyrics from Barkha

Barkha Bahaar Aayi
Chhod Bhi De Majhdhar
Ek Raat Mein Do Do Chand Khile
Poochhungi Ek Din
Pyar Kiya Nahin Jata
Sur Badle Kaise Kaise Dekho
Tadpaoge Tadpa Lo
Unche Parbat Gehre Saagar
Woh Door Jo Nadiya Behti Hai