Yeh Kaun Chitrakar Hai By Satish Bhatia

Hari hari wasundhara nila nila ye gagan
Nila nila ye gagan
Hari hari wasundhara pe nila nila ye gagan
Ke jis pe badalo ki palaki uda raha pawan
Dishaye dekho rangbhari
Dishaye dekho rangbhari
Chamak rahi umang bhari
Ye kis ne phool phool pe
Ye kis ne phool phool pe kiya singar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai

Tapaswiyo si hai atal ye parawato ki chotiya
Ye sarp si ghumeradar, gheradar ghatiya

Dhwaja se ye khade huye
Dhwaja se ye khade huye hai wariaksh dewadar ke
Galiche ye gulab ke, bagiche ye bahar ke
Ye kis kavi ki kalpana
Ye kis kavi ki kalpana ka chamatkar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai

Kudrat ki is pavitrata ko tum nihar lo
Is ke guno ko apne mann me tum utar lo
Chamakalo aaj lalima
Chamakalo aaj lalima, apne lalat ki
Kan kan se jhankati tumhe chabi virat ki
Apni to aankh ye hai
Apni to aankh ye hai us ki hazar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai
Ye kaun chitrakar hai..

Song Details
Movie
Boond Jo Ban Gayee Moti
Artist
Satish Bhatia
Music Directory
Satish Bhatia
Music Label
Saregama
Singers
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Bharat Vyas

more lyrics from Boond Jo Ban Gayee Moti

Ankhiyan Tarsan
Boond Jo Ban Gayee Moti
Dil Mera Gumsum
Lovely Lovely Hai Sama
Meri Zindagi Ek Khwab Hai
Naino Ka Chain Ganvaya
Pyar Se Kab Inkar Kiya
Yeh Kaun Chitrakar Hai