Kehta Hai Sindoor Tera By Bappi Lahiri

Dhool tere charno ki lekar
Apni maang main bharti hu
Nari nahi tu devi hai
Main teri pooja karti hu

Kahta hai sindoor tera
Teri bindiya kahti hai
Kahta hai sindoor tera
Teri bindiya kahti hai
Lakho mein koi ek suhagan
Lakho mein koi ek suhagan
Sada suhagan rahti hai
Kahta hai sindoor tera
Teri bindiya kahti hai
Lakho mein koi ek suhagan
Sadaa suhagan rahti hai
Kahta hai sindur tera

Pati ki seva ki aisi
Ke pati ko parmeshvar mana
Pati ki seva ki aisi
Ke pati ko parmeshvar mana
Beti aur bahu me tune
Koi antar na jana
Teri surat dekh ke humne
To bhagwan ko pahchana
Tu sabko sukh deti hai
Tu hum sabke dukh sahti hai
Lakho mein koi ek suhagan
Lakho mein koi ek suhagan
Sada suhagan rahti hai
Kahta hai sindur tera

Tune darpan mein mukh dekha
To darpan ye kahta hai
Tune darpan mein mukh dekha
To darpan ye kahta hai
Tu swaym darpan hai jise
Har koi dekhta rahta hai
Tere hotho se muskano ka
Yun jharna bahta hai
Shankar ji ki jata se jaise
Ganga maiya bahti hai
Lakho mein koi ek suhagan
Lakho mein koi ek suhagan
Sada suhagan rahti hai
Kahta hai sindur tera
Teri bindiya kahti hai.

Song Details
Movie
Sadaa Suhagan
Artist
Bappi Lahiri
Music Directory
Bappi Lahiri
Music Label
T-Series
Singers
Kavita Krishnamurthy

more lyrics from Sadaa Suhagan

Billi Boli Meon
Kehta Hai Sindoor Tera
Yeh Gussa Kaise Utrega