Aaya Hai Kahan Se By Madan Mohan Kohli

Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane

Meri aankho ke bhi dekh jara maykhane
Hoye hoye aaya hai kaha se pike deewane
Shawa bhai shawa, kya maykhane

Nasha hai tera jhutha,
Sharabe teri nakali

Mahobbat bhi to nasha hai,
Nasha bhi sabse asali

Lagata hath na main ko
Mahobbat ki jo hoti

Nazar ko jam banakar
Sitamgar pi jo hoti

Tod bhi de sare jhuthe paimane
Hoye hoye

Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane

Idhar la dil ka sagar
Ha pyar ki main aise bhar du

Abhi tak deewana hai
Tujhe mastana kar du

Kasam hai tujhko meri
Na kha ye jhuthe dhokhe

Mahobbat ka tu hoja
Kaha phir roj ye moke

Pyar khud aaya tujhe samjhane
Hoye hoye

Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane

Utha aankho se parda
Nazare jaag rahe hai

Meri masum nazar me
Ishare jaag rahe hai

Mahobbat ko na thukara
Mahobbat chij badi hai

Shama ummid lagaye
Arey nadan khadi hai

Dekh kaise jalte hai parwane
Hoye hoye

Aaya hai kahan se pike deewane
Meri aankho ke bhi dekh jara maykhane
Ho ho aaya hai kahan se pike deewane...

Song Details
Movie
Man-Mauji
Artist
Madan Mohan Kohli
Music Directory
Madan Mohan Kohli
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Rajendra Krishan

more lyrics from Man-Mauji

Aaya Hai Kahan Se
Bura Lagta Hai Lage
Chanda Ja
Ek Tha Abdul Rehman
Main Toh Tum Sang
Murge Ne Jhooth Bola
Zaroorat Hai Zaroorat Hai