Bahut Diya Dene Wale Ne By Roshanlal Nagrath (Roshan)

Bahot diya dene wale ne tujhako
Bahot diya dene wale ne tujhako
Aanchal hi na samaaye to kya kije
Bit gaye jaise ye din raina
Baaki bhi kat jaye dua kije

Jo bhi de de maalik tu kar le qubul
Jo bhi de de maalik tu kar le qubul
Kabhi kabhi kaanto mein bhi khilte hai phool
Wahaan der bhale hai andher nahi
Ghabaraa ke yun gila mat kije
Bahot diya dene waale ne tujhako
Aanchal hi na samaaye to kya kije

Denge dukh kab tak bharam ke ye chor
Denge dukh kab tak bharam ke ye chor
Are dhalegi ye raat pyaare phir hogi bhor
Kab roke ruki hai samay ki nadiya
Ghabara ke yun gila mat kije
Bahot diya dene waale ne tujhako
Aanchal hi na samaye to kya kije
Bit gaye jaise ye din raina
Baaki bhi kat jaaye dua kije...

Song Details
Movie
Soorat Aur Seerat
Artist
Roshanlal Nagrath (Roshan)
Music Directory
Roshanlal Nagrath (Roshan)
Music Label
Saregama
Singers
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Soorat Aur Seerat

Bahut Diya Dene Wale Ne
Geet Mera Sulaye