Hai Kali Kali Ke Lab Par By Mohammed Zahur Khayyam

Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana
Mere gulsitaan ka sab kuchh,
Teraa sirf muskurana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana
Mere gulsitaan kaa sab kuchh,
Teraa sirf muskurana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana

Ye khule khule se gesu,
Uthe jaise badliyaan si,
Ye jhuki jhuki nigaahen,
Gire jaise bijliyaan si
Tere naachte kadam mein hai
Bahaar ka khazaana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn kaa fasaana
Mere gulsitaan kaa sab kuchh,
Tera sirf muskurana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana

Tera jhoomna machalna,
Jaise zar badal badal ke
Mera dil dhadak raha hai,
Tu lachak sambhal sambhalke
Kahin ruk na jaaye zaalim
Is mod par zamaana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana
Mere gulsitaan ka sab kuchh,
Tera sirf muskuraana
Hai kali kali ke lab par,
Tere husn ka fasaana...

Song Details
Movie
Lalarukh
Artist
Mohammed Zahur Khayyam
Music Directory
Mohammed Zahur Khayyam
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Kaifi Azmi

more lyrics from Lalarukh

Alvida Jaane Wafa Tera
Hai Kali Kali Ke Lab Par
Le Ja Meri Duayein
Pyas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di
Thi Ek Shahzaadi
Udas Udas Fizaon Mein