Khuda Hai Tere Andar By Various Artists

as ek chingari..se aag lagti hai
Wo chingari toh soyi hai tere hi seene mein
Zamana jaisa hai usey waisa hi rehne de
Batao na mazaa hi kya hai aise jeene mein

Bas ek chingari..se aag lagti hai
Wo chingari toh soyi hai tere hi seene mein
Karta hai kyun shikayatein
Pehle sudhaar aadatein
Ik ik boond se hi banta hai samandar
Khud pehla kadam uthaa
Khud apni kasam tu khaa
Tujhko pata nahi khuda hai tere andar

Nakamiyon ke bahaane hazaron hai
Kiska kusoor kahein
Par zimmedari humaari bhi banti hai
Itna zaroor kahein
Jo ho raha hai aankhon ke aage hai
Nazrein kyun pher lein hum

Apne iraadon se manzar badalne ka
Sar pe suroor rahe
Mere yaara mere yaara sun le
Dil ki pukaar zaraa

Sacchaiyan saari nazdeek hain tere
Jo dhoonde tu milengi wo tujhe aaine mein
Zamana jaisa hai usey waisa hi rehne de
Batao na mazaa hi kya hai aise jeene mein

Karta hai kyun shiqayatein
Pehle sudhaar aadatein
Ik ik boond se hi banta hai samandar
Khud pehla kadam uthaa
Khud apni kasam tu khaa
Tujhko pata nahi khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi khuda hai tere andar...

Song Details
Movie
Ghayal Once Again
Artist
Various Artists
Music Directory
Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Music Label
Zee Music Company
Singers
Antara Mitra, Arijit Singh
Lyricist
Amitabh Bhattacharya

more lyrics from Ghayal Once Again

Khuda Hai Tere Andar
Lapak Jhapak