Hoor By Various Artists

Hmm…

Lafzon ke haseen dhaagon mein kahin
Piro rahaa hoon kabse main huzoor
Koshishein zara hai nigaahon ki
Tujhe dekhne ki ho khataa zaroor

Deewangi kahun isey ya hai mera fitoor
Koi hoor…jaise tu
Koi hoor…jaise tu

Bheege mausam ki bheegi subah ka
Hai noor…
Kaise door tujhse, main rahoon

Khamoshiyan jo sun le meri
Inmein tera hi zikr hai
Khamoshiyan jo sun le meri
Inmein tera hi zikr hai

Khwaabon mein jo tu dekhe mere
Tujhse hi hota ishq hai

Ulfat kaho isey meri
Na kaho, hai mera kasoor

Koi hoor jaise tu
Koi hoor jaise tu

Bheege mausam ki bheegi subah ka
Hai noor..

Song Details
Movie
Hindi Medium
Artist
Various Artists
Music Directory
Jigar Saraiya, Sachin Sanghvi
Music Label
T-Series
Singers
Atif Aslam
Lyricist
Priya Saraiya

more lyrics from Hindi Medium

Hoor
Suit Suit