Tera Noor By Vishal Shekhar

A aa..

Ho al-bari
Tera aadam mujhko dikhlave ki cheez banaye
Kyu mujhko mere jism se aage samajh na paye

Ho al-wali…
Bolo aisa kyun hai?
Mujhse paida hua hai jo woh
Har pal, har dum mujhko kamzor bataaye

Jo thi tere wajood pe duniya
Baithi hai barood pe duniya
Mool to sab ko bhool gaya hai
Jeeti hai ab sood pe duniya

Saare qaayadein kitaabein bhool gaye
Mitti mein saare phool gaye

Mujkhko mein koi baat nahi
Koi auqaat nahi
Tu hi toh hai shaan meri
Tu hi hai guroor
Kyun door…tera noor…
Zikr-e-ilaahi ka jab hai mujhko suroor…

Ulfat ke bin kahaan rihaai
Baat kisiko samajh naa aayi
Phir bhi sabko samajh baant’ta har saudai
Zinda jazbaat nahi
Haq mein halaat nahi
Maanungi naa haar mujhe hai fateh ka fitoor…
Kyun door…tera noor…
Zikr-e-ilaahi ka hai mujhko suroor…
Kyun door…tera noor

Song Details
Movie
Tiger Zinda Hai
Artist
Vishal Shekhar
Music Directory
Shekhar Ravjiani, Vishal Dadlani
Music Label
YRF Music
Singers
Jyoti Nooran
Lyricist
Irshad Kamil

more lyrics from Tiger Zinda Hai

Daata Tu
Dil Diyan Gallan
Swag Se Swagat
Tera Noor
Zinda Hai