Sad Shayari SMS Messages2006 messages

Teri yadein rakh di sambhalkar,dur kahi is dilse nikalkar,sab kuch to wapas le liya hai tumne dur jakar,in yadon ko b le jana kisi roz aakar..
Saath rehte rehte yuhi waqt guzar jayga. Door hone k bad kon kise yad aega.jelo ye pal jab hum sath hai kal ka kya pata waqt kahan le jayega
Zakham dene ka andaz kuch aisa hai,zakham dekar pochte hai ab hal kaisa hai. kisi ek se gila kya karna ,sari duniya ka mijaz ek jaisa hai
Dost to rukhsat ho jate hain, Par kuch yado kai daayre ban jate hain, Bhul jana to insan ki fitrat hai, Par kuch acche dost yado mai bas jate hai
Chahat me kisika imtihaan na lena,jo nibha hi na sako wo vaada na dena,jise tum bin jeene ki aadat hi na ho use kabhi jeene ki dua na dena.
Hathon se gir gayi lakire kahi, bhool aaye hum apni takdiren kahi agar tumhe kahin mile toh utha lena mere hisse ki sari khushiya apne hathon me saja lena
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Parwah karo uski jo aapki parwah kare, jindgi mein jo kabhi ruswa na kare, jaan banke utar jayo uski jaan mein, jaan aap par jo apni jaan kurban ker de …
Khubsurat hai zindagi khwaab ki tarah jaane kab tut jaye kanch ki tarah kisi mod pe mulakat ho gai hamari to ankhen mat modna anjan ki tarah
La hasili ka ishq me charcha nahi kiya,duniya jo chahti thi tamasha nahi kiya,manzar se hat k kardiya asan judai ko,is faisle me use tanha nahi kiya
Jane kis rang se ruthegi tabiyat uski,jane kis dhang se ab usko manana hoga,mashgala usne ajab diya hai yaro,umar bhar sochiye wo kaisa hoga
Yado ki kimat wo kya jane jo khud hi yado ko mita diya karte hai yado ka matlab to unse puccho jo yaado ke Sahare jiya karte hai…