Jane kyun hame aansu bahana nahi aata. jane kyun haale dil sunana nahi aata. kyu sathi bichhad jate hain hum se. shayad hame hi sath nibhana nahi aata...
Mukadar Se Lad Saku Ye Meri Aukaat Nahi. Me wo Sakhsh hu Khuda Jiske Sath Nahi. Waqt ayega To Kah Dunga Khuda Se Ki. Mera Mukadar Likhna Tere Bus Ki Baat Nahi.
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.
Shaam chirago se saja rakkhi hain.. Shart logo se laga rakkhi hain, shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa, yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain.......