Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
Konsa Zakham Tha Jo Taro-taza na Tha Zindgi Mein Itne Gham Thy Ke Andaza Na Tha Unki Jheel Si Ankhon Ka Is M Kia Qasoor Dubne Walon Ko Gehrai Ka Andaza Na Tha
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.