Ek muddat se jo khawab ban kar nazar me raha rooh ban kar vo mere badan me raha fana ho kar jise chaha tha dhadkano ne meri kareeb aa kar vo shask ajnabi sa raha
Apke saath rahte rahte hume chaahat si ho gayi. Apse baat karte karte hume aadat si ho gayi. Ek pal na milo to bechaini si lagti hai. Dosti nibhate nibhate hume to mohabbat si ho gayi..
Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota, Har kisi ko dekhna pyar nahi hota, Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam, Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota…….!
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Tumhari yaadon ko rok pana hai mushkil, rote huae dil ko manana hai mushkil, yeh dil aapko kitna yaad karta hai, ye labzo se bayan karna he namunkin...