Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai
Shama parvana choro apne pyar ki baat karo Maatam ka shauk choro apne yaar ki baat karo Roné se nazron ke ashka sukh gaye hain ab Patjhar ka dukh bhulo apne bahaar ki baat karo