tanhai lay jati hain jahan tak yaad tumhari, wahin say shuru hoti hain zindagi hamari, nahin socha tha chahein gay hum tumhein iss kadar, per ab tau ban gayin haun tum kismat hamari.
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Zindagi main jab jab unhe tanhai ne sataya hoga tab tab unhe hamara khayal aaya hoga gham ye nahi ki wo bhool gake hamko gham ye hai hai ki ro-ro ke bhulaya hoga
chaha tha us ko rooh ki gahraiyon k sath.. zinda hain apni zaat ki tanhaiyon k sath.. roka nahi us ko bicharny k waqt b.. apni wafa py naaz tha sachaiyon k sath
Pyaar jo kisi se karoge rusvai hi milegi.Vafa jitani bhi karoge burai hi milegi.Chahe kisi ko kitana hi apna banalo,jab bhi ankh khologe tanhai hi milegi.
phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.
EK Din usse bat n hui to dil udas ho gya.Kuch hi pal me wo itna khas ho gaya.Ab tak pata nhi thi dil ki tanhai,Lekin uski judai se uski ehmiyat ka ehsas ho gya