Tum Besahara Ho from Anurodh Movie (Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal))

Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum ko apne aap hee sahara mil jayega
Kashti koyi dubati pahuncha do kinare pe
Tum ko apne aap hee kinara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh

Hans kar jinda rehna padta hai, apna dukh khud sehna padta hai
Rasta chahe kitna lamba ho, dariya ko toh behna padta hai
Tum ho ek akele toh ruk mat jao chalo niklo
Raste me koyi sathi tumhara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh

Naa basti me naa virano me, naa kheto me naa khalihano me
Naa milta hai pyar bajaro me, naa bikta hai chain dukano me
Dhundh rahe ho tum jis ko, usako bahar mat dhundho
Mann ke andar dhundho pritam pyara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh..

Song Details
Movie
Anurodh
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lyricist
Anand Bakshi

Other Lyrics from Anurodh

Aaja Ho Aaja
Aap Ke Anurodh Pe
Aate Jate Khubsurat
Jab Dard Nahi Tha Sine Me
Tum Besahara Ho

Other popular Lyrics by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Dariya Mein Phenk Do Chabi (Aas Paas)
Jeevan Sathi Saath Mein Rahna (Amrit)
Duniya Se Duniya walo Se (Baghavat)
Mere Seene Se Lag Ja (Bhrashtachar)
I Am Krishnan Iyer (Agneepath)
Zindagi Kya Hai Ik Lateefa Hai (Amrit)
Qaraar Khoya Ke Jaan (Anjaana)
Nagin Sa Roop Hai Tera (Baghavat)
Mata Kaun Pita Koun (Benaam Badsha)
Main Aaya Hoon (Amir Garib)