Is Jahaa Ka Pyar Bhi Jhuta By Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)

Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

Pahle khat likhte the aashik
Apne dil ke khun se
Ab to khusbu itar ki aane lagi hai
Us majmun se
Ha ha us majmun se
Dil ka har bimar jhutha
Maut ka bhi pyar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

Ghumti firti hai
Ghumti firti hai laila
Ab to motar car me
Ab to motar car me
Or cycle pe miya majnu
Mile bazar me
Ho ut or mahmil kaha
Ab to hotel hai miya
Jab mansuri ko chali jati hai
Shiri june me
To miya farhad aa jate hai
Dehra dun me
Ab ka pesh na pahad
Ishk ka gulshan ujad
Phul jhute khar jhuthe
Pyar ka guljar jhutha
Pyar ka guljar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

Ab kaha wo pahle jaise
Dil bari ke rang bhi
Haye dil bari ke rang bhi
Kya se kya kuch ho gaye
Ab aashiki ke dhang bhi
Ishk ke rang bhi
Dilbari ke rang bhi
Ishk ka izhar bhi jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha....

Song Details
Movie
Amar Deep
Artist
Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Directory
Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lyricist
Rajendra Krishan

more lyrics from amar deep

Aavaaz Na Denaa
Ab Darr Hai Kiska
Dil Kee Dooniya
Is Jahaa Ka Pyar Bhi Jhuta
Jali Lo Dim Tana
Kisi Din Zara Dekh
Lagi Apni Najariya
Lene Se Inkar Nahi
Mere Mann Kaa Bawara
Ye Jee Chahta Hai