SMS Messages292 messages

pyaar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
A palak tu band ho ja, Khawabo me unki surat to nazar aayengi, Intezar to subah dubara shuru hoga, Kam se kam Raat to khushi se kat jayengi.
Mere Wajood mai kash wo utar jaye,Mai dekhoon Aaina aur wo nazar aaye,Wo ho samne aur Waqt thehar jaye,Ye zindagi us se yuhin dekhte huye guzar jaye.
Nazar me tumhare nazare rahenge, Palko pe yuhi chand sitare rahenge,Badal jaye to badle ye zamana,Khuda kasam hum to hamesha tumhare rahenge
Kitne Chehre hai Duniya me magar Hamko Ek Chehra Nazar Aata hai Duniya Ko Ab Hum Kya yaad karen Aapki Yaadon me Waqt sara Guzar jata hai.
Us ki ankhon mein nazar aata hai sara jahan mujhko ,Afsoos k un ankhon mein kbhi khud ko nahi dekha.
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rahe dono khamosh par baat karli.. Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in aankho ne ro ro k barsaat kar li
Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Bahoot tamanna thi, rishto ke aashiyan banane ki, Bana chuke toh lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! .......
Ahsaan hai tera dil par , ke ishq toone sikhaaya, Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir, Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya ....
Arz kiya hai jinki yad me hum diwane ho gaye, woh hum hi se begane ho gaye, shayad unhe talash hai ab naye dost ki, q ki unki nazar me ab hum purane ho gaye.