Gaya Ujala Suraj By Chitragupta Shrivastava

Gaya ujala suraj duba
Ab hai meri bari
Gaya ujala suraj duba
Ab hai meri bari
Andhkar ke nagar mein
Aaya jyoti ka vyapari
Yeh andhkar ki duniya
Dukh ki pukar ki duniya
Yeh bekarar ki duniya

Jaise mera aakash dip hai
Jivan ka ujiyara
Dharti ke aagan mein
Sabki ummido ka sahara
Aaj garibi ka dukh humko
Thokar mar giraye
Armaano ka deepak
Phir bhi uncha uthta jaye
Jaise mera aakash dip hai
Jivan ka ujiyara
Ummido ka tara .
Jhilmil jhilmil pyara
Ummido ka tara
Jhilmil jhilmil pyara....

Song Details
Movie
AakashDeep
Artist
Chitragupta Shrivastava
Music Directory
Chitragupta Shrivastava
Music Label
Saregama
Singers
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lyricist
Majrooh Sultanpuri

more lyrics from Aakash Deep

Dil Ka Diya Jalaa Ke Gaya
Gaya Ujala Suraj
Mile to Phir Juke Nahi
Mujhe Dard E Dil
Suniye Jana Kya